Duwa karna yaro juda ho rahe hai,
Rahi zindagi to fir aakar milenge.
Agar margaye to duwa karte rehna,
Aansun bahane ki koshish na karna.
Yeh duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.
Danishon ki duniya hai sari,
Alfazon ka maidan hai sara.
Jor aur Jamin ko pehechan na pao,
To maidan me aane ki koshish na karna.
Kashti ummidon ki agar sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karna.
--Romeo
it's very beautiful